Showing posts with label yaadien. Show all posts
Showing posts with label yaadien. Show all posts

Wednesday, February 29, 2012

KUCH PURAANI YAADE..

KJ RETURNS..:))
"KUCH PURAANI YAADE"..

Kuch puraani yaade..
Jab yaad fir se aati hai..
Dil ki har har murjhaai kali..
Fir se khil khil jaati hai..

Wo yaad jab roye thhe bin baat..
Wo yaad jab ki thhi thahako bhari baat..
Wo yaad jab kisi apne ko hasaya thha..
Wo yaad jab kuch karke bdaa maza aaya thha..

Wo yaad jab koi khaas dost mila thha pehli baar..
Wo yaad jab kisi"khaas" se hui thhi pehli pehli baat..
Wo yaad jab mehnat krke khud ko thakaya thha..
Wo yaad jab kisi ne hume "apnaa" kehkar bulaaya thha..

Kuch khaas lamhe zindagi me aate hai..
Kuch khaas lamhe zingagi se jaate hai..
Lamhe aakr chale jaae bhale hi..
Lekin yaade bnkar hmesha k liye dil me reh jaate hai..:)

Saturday, January 28, 2012

KAHAR DHAA GYAA

MY FAV.

"KAHAR DHA GYAA"..

#
Uska muskuraana..
Kahar dhaa gya..
Uska baalo ko sehlaana..
Kahar dhaa gya..!!

#
Auro ke dekhne se..
Kabhi kuch naa hua hume..
Magar uska wo ek nazar uthaana..
Kahar dhaa gyaa..!!!

#
Aur kisi se milna..
Kabhi yaad nhi rha mujhe..
Magar uska wo haath milaana..
Kahar dhaa gya..!!!

#
Uske chehre ki wo masumiyat..
Uske aankho ki wo nazaaqat..
Aur wo sharmaakr muskuraana..
Kahar dhaa gya..!!

#
Sunaa thha unki aankho me bhi nashaa hai..
Us nashe ka bhi apna ek mazaa hai..
Pehle to laga ..ye sab sach nhi..
Par jab wo nashaa mehsus kia..to wo ehsaas..
Kahar dhaa gyaa..!!

#
Unke pas aane ne ..
Diwaana sa hume kr dia..
Aur unka dur jaana bhi..
Kahar dhaa gya..!!

#
Mehfil unke didaar ko bechen rehti thi..
Ye aankhe unke intzaar ko bechen rehti thhi..
Sochte thhe..wo mehfil k rang me rang jaaenge..
Par unka mehfil ko rang jaana..
Kahar dhaa gya..!!

                                                      #
                                                        Taarif me uski..
                                                         Aur kyaa kahu..
                                                          Uska zindagi me aana..
                                                                 Kahar dhaa gya..!!

Thursday, January 26, 2012

YAADO ME REHNE DO








                              




Me hu aaj kisi ki yaado me khoya..   
mujhe un yaado ke sahaare rehne do..
wo haqiqat me ab nhi..bas sapno me hi hai..
mujhe bhi haqiqat bhulaakr..un sapno me rehne do..

#
Wohi meri zameen..wo hi aasmaan thhe..
wo hi manzil kaa raasta..aur wo hi mukaam thhe..
wo hi thhe hasi..wo hi thhe khushi..
wo hi subah..aur wo hi sukun bhari shaam thhe..

Bohot kuch kehna baaki thha unse..
wo tab naa keh saka..ab kehne do..
me hu aaj kisi ki yaado me khoya..
mujhe unhi yaado me rehne do..

#
Unki kami zindagi me..
koi puri nhi kar paya..
aansu sabne pochhe..
par dil ke zakhm koi nhi bhar paaya..

un zakhmo ka hai jo dard..
us dard ko sehne do..
me hu aaj kisi ki yaado me khoyaa..
mujhe unhi yaado me rehne do..rehne do..