Tuesday, May 21, 2013

Aks

By kj..

“Aks..”

Raaho me uska chehra liye..
Har shaks dikhaai deta hai..
Mujhe to aajkal andhero me bhi..
“Uska” aks dikhaai detaa hai..

Shayad wo uski aankho ka jaadu thha..
Ya mithi baato ne kia mujhe kaayal..
Shayad wo uski adaae thhi..
Ya uski muskaan ne kia mujhe ghayal..

Kaano me har waqt uski baato ka..
Har lafz sunaai deta hai..
Mujhe to aajkal andhero me bhi..
“Uska” aks dikhaai detaa hai..

Naa jaane kitno se mila zindagi me magar..
Usi ka naam yaad rehta hai..
Zindagi ke khubsurat palo me bas..
Uske saath bitaaya wo sham yaad rehta hai..

Raaho me uska chehra liye..
Har shaks dikhaai deta hai..
Mujhe to aajkal andhero me bhi..
“Uska” aks dikhaai detaa hai..

3 comments:

  1. Although I feel brain dead with Hindi writing, I really liked this one. Lovely :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. there are many hindi poems on my blog..i hope u will love others too..
      thnx for taking the time to visit my blog. I am glad that u loved it.
      keep coming by more often..:)

      Delete