Bohot kahaa gya is desh me..
Ki achhe din aaenge..
Par kaise aaenge wo achhe din..
Ye hume koi nhi samjhaane aaenge..
Kuch baatein hai mere dil me..
Aur lagta hai…ki yadi uun par hum amal kar paaenge..
To sach maano ..dosto..
Achhe din zaroor aaenge..
#Desh me pichle kuch samay me..
Kayi jagah balaatkaar hue..
Usse rokne k liye action lene ka kisi ne nahi socha..
Hue to bas reaction ke bauchhar hue..
Yadi inn ghinauni ghatnaao ko rok kar..
Hum ladkiyo ko izzat de paaenge..
To sach maano ..dosto..
Achhe din zaroor aaenge..
#Desh ke yuvaa aajkal..
Yaa to desh chhod kar baahar naukri ko jaate hai..
Yaa fir jo desh me rehte hai..
Wo bus train rok kar dharne par beth jaate hai..
Yadi “bus train” rokne ki bajaae..
Hum “brain drain” rok paaenge..
To sach maano ..dosto..
Achhe din zaroor aaenge..
#Desh ke log aaj chahte hai to bass..
Khud ki unnati khud ki kamaai…
Koi nahi chahta desh ki unnati..
Koi nahi chahta desh ki safaai..
Yadi hum desh ko saaf rakh kar..
Apne apne kartavya nibhaaenge..
To sach maano ..dosto..
Achhe din zaroor aaenge..
J J
No comments:
Post a Comment